Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi RA Biography | Ahmed Yaar Khan Naeemi Life ...
Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi RA Biography | Ahmed Yaar Khan Naeemi Life Story | AZMI VOICE #ahmedyaarkhannaeemi #muftiahmedyaarkhannaeemi #muftiahmedyaarkhannaeemibiography #muftiahmedyaarkhannaeemibooks #ahmedyaarkhannaeemihistory #azmi #azmivoice #azmidiary #azimulzafar #azimulzafarazmi #azmivoiceav #azimulzafaraz ======================================================= Aap ki wilaadat Shawwaal 1325 Hijri (1904 A.D.) me Ojhaani (Zila Badayun) hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Muhammad Yaar Khan hai. Aap ke waalid Ojhaani ki Jaame Masjid me Imaam the. Masjid ke akhraajaat ki zimmedaari bhi khud uthaate the. Woh Faarsi zabaan ke maahir the. Aur ek Maktab khol rakha tha jis me bacho ko ta’leeme deen dete the. Bahot Muttaqi, Parhezgaar aur Deendaar the. Log un ki bahot ta’azeem karte the. Jaeef ho jaane ke ba-wajood ba-jama’at namaaz ada karne ke liye tashreef le jaate. Jab masjid me paani ke intazaam ke liye kunva ta’ameer karvaane ke liye raqam ki zaroorat thi to Aap ki waal...